Wo subha bhi kaali raat jaisi jo teri good morning se shuru na ho,
Wo din bhi maut jaisa jiska aaghaz tere have a nice day se na ho,
Wo pal hi kis kaam ke jo tere/ tere khayaal ke bina guzrein,
Kaise tujhe bataein tu kya hai mere liye,
Teri maujudgi se main khud ko bhi pehchaan nahi paata hun,
Main tera kaun hun, kya hun, sab bhool jaata hun,
Meri zindagi mein teri kya ehmiyat hai main kya kahun,
Ek aur sirf ek hi insaan ke liye main jeena chahta hun,
Mann hi mann usey Bhagwaan maan baitha hun,
Zajbaaton mein beh jaata hun kabhi,
Kya kehna hai kya nahi pehchaan bhi nahi paata hun,
Jaane kis baat se tujhe thes pahunch jaaye,
Ghabraata bhi rehta hun,
Par fake kuch nahi kar paata hun,
Lage haath ek baat aur bhi kabool karta hun meri jaan,
Ab tere bina jeene ka soch bhi nahi paata hun,
Na hi sochna chahta hun Main,
Kis tarah ek ek pal tere bina guzara hai,
Pal pal ki yaad mein kaise saal nikalte hain,
Sirf mera dil hi jaanta hai,
Ab dur hone ki aur himmat nahi kar sakta hun main,
Aur kuch nahi ab apne liye jeena chahta hun main,
Bas isi kaaran kabhi kabhi thoda behak jaata hun main,
Sach kahun to aakhir saath mein tujhe bhi khush dekhna chahta hun main.
0 comments:
Post a Comment
Thanks for taking your precious time out !!