December 18, 2015

Unki Ehmiyat hamare Dil mein !

Mere naam se pehle har jagah,
Naam Unka likha jaata hai,

Har baat mein meri, 
Zikar Unka pehle aata hai,

Har khayal mein mere,
Dhyan Unka pehle aata hai,

Aankh khulti baad mein hai,
Chehra Unka magar pehle nazar aata hai,

Saans baad mein aata hai mujhe,
Unki maujudgi ka ehsaas pehle leta hun lekin,

Kambakhat kahun ya fir tareef karun iski,
Ye dil agar aya bhi to kis par aaya hai,

Wo to 'lol' kehkar,
Humse nazar chura lete hain,

Kaise Unhe yakeen karaen ye majaak nahi,
Hamari jindagi ki wo Jaan bane baithe hain,

Lutf zindagi ka hum bhi uthana chahate hain magar,
Hamari chahat ki baahein Wo thaame baithe hain,

Waqt ka tark dekar,
Wo samjhate hain hamein,

Lekin kaise Unhe samjhaun 
Ke waqt wahin rok kar rakha hai maine,

Aage chalne ki na to koi aarzu hai,
Na hi wajah,

Haan agar Tera saath rahe to jee lunga main thoda aur abhi,
Warna is fakeer ke jeevan mein aur bacha hi kya hai,

Log beshak jalte hain aaj hamein kahin dekhkar,
Hasi aati hai unpar, rona khud par,

Jab sochta hun,
Ke maine aakhir paaya hi kya hai,

Heera aake dig peya si galti naal is fakeer di jholi che, 
Asi oh vi aap hathin luta baithe,

Ki thaan hai Udi mere dil che,
Kaash khol ke main unu dikha sakda,

Yakeen taan bhaave kara vi dawan main Usnu,
Kiven faryaad karaan par Us Rabb moore,

Ke Oh mud meri Heer nu lad mere ban deve,
Phhulaan waang rakhun saambh saambh,

Ik aakhri vaar Ardaas meri sun lave taan sahi,
Khada hun saamne- jholi khaali, hath jod, baahein failaaye,

Kahun bhi to kya kahun main,
Bas thak chuka hun ab akele is jeevan se ladte,

Saath mil jaaye Tera to JEE lunga kuch aur pal,
Time to aaj tak bhi kaata hi hai,

Nahi jaanta main ke thik kar raha hun ya nahi,
Par itna zarur hai ke jeena nahi chahta hun aur Tere bin,

Ya dava de Tu,
Ya fir dede zehar,

Apni life ka sabse bada daav laga kar,
Hum Teri mehfil mein khade hain,

Baaki sab sambhaal lene ke liye hum pade hain,
Bas ik saath Tera mil jaaye,

Life meri sambhaalne ke liye !

December 9, 2015

Zehan mein hai kya aakhir ?

Ab log puchte hain ke likhta kyun nahi,
Koi hamein bataye ke sanam hamara hum par marta hai ya nahi,

Jaan usey maan kar hum jee rahe hain kahin,
Iska ehsaas usey hota hai ya nahi,

Manzil maan kar bas usey aakhri,
Hum ruk chuke hain jeevan mein yahin,
Kya usey is baat ka ilam hai ya nahi,

Hum bhi chahte hain kabhi unse pamper hona,
Ye baat unke zehan mein hai ya nahi,

Chahte hain wo kabhi hamein bhi apna kahen,
Ab kab tak akele thokaren khaate rahen hum yun hi,

Zulfon se unki khelna chahte hain hum,
Kabhi wo hamara bhi haath thaamein to sahi,

Kitna aur yun hi safar intezaar mein kaatna hai hamein,
Kabhi koi ye bhi to clear karke bataye hamein,

Aaj tak bhatka hun na jaane kya paane ki tayaari mein,
Mila hi kya hai sochta hun jab nazar peeche jaati hai,

Kya paane ki chahat mein kya kya kho diya hai maine,
Saham jaata hun har pal jab khayal udhar jaata hai,

Sochta hun na jaane dun khayal bhi kabhi us taraf,
Lekin pal pal hi wo pagal sab kuch yaad karata hai,

Khade to aaj bhi hain hum wahin par,
Na jaane kyu fir bhi samaa kuch badla badla sa lagta hai,

Rongte khade hote hain aaj bhi,
Aakhir kiya kya tha maine us pal,

Bas ek mohabaat hi to ki thi,
Dilo Jaan se wo bhi,

Saari duniya ki nazron ne wo padh liya,
Jo humne kabhi kaha bhi nahi,

Jaane kaise wo bekhabar reh gye,
Jinhe khud se zada pehchana humne,

Galti na jaane meri hi thi,
Kyun Rabb se upar darja Unhe diya tha aakhir,

Ke aaj tak parikrama unke charon taraf hoti hai hamari,
Uparwala bhi shayad isiliye rootha hai humse,
Uske saamne jo ye mukaam Unhe diya hai humne,

Saari duniya ke saamne kabool karte hain hum,
Dur bhi na ho paaye hum Tumse chah kar,

Har pal saaye se zada kareeb mere khayal Tumhara raha,
Khuli ho ya band, har waqt nazar mein chehra Tumhara hi raha,

Log kehte rahein chahe ke bewakufi hai ye,
Mera dil jaanta hai sabse sahi faisla mera ye hi raha,

Intezaar ab to ya unka hai ya maut ka,
Saala kabhi koi jaldi se aaye to sahi,

Ab agar mar bhi gaye to parwaane ki maut marenge, 
Kam se kam shama ke ujale mein to faut hogi,

Lekin agar jee gye to Khuda kasam,
Pusht dar pusht hamare Deewanepan ki bhi misaal di jayegi,

Bas yehi dua hai ab to,
Ke arzi hamari ki darkhwast bhi amal ho jaaye kahin,
Kam se kam Ranjhe waale pind de is Vikram nu te udi Heer saleti mil jaaye,

Uddan te hun asi mann de nahi,
Fer v Tere layi hath jod de haan Us Rabb moore,

Ohi Ardaas fer karde haan,
Je koi v changa kam main kade kitta hai, 
Usda mol ithe paade,
Meri Heer nu mera banade o Rabba,
Meri Heer nu mera banade !!!